ghazal mein dasht ki Khaali baDai hoti hai

ghazal mein dasht ki khali badai hoti hai
samundaron ki abhi tak burai hoti hai

tumhaare shahr mein bas is liye nahin aata
tumhaare shahr mein to khud-numai hoti hai

bahut uthati hai nuqsan raushni yaron
agar diyon ki hawa se ladai hoti hai

jahan pe baithte uthte hain chaar chhe shair
wahan pe khub lagai bujhai hoti hai

ye kar-zar-e-mohabbat hai aur yahan 'anwar'
suni-sunai nahin aazmai hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close