ghazal-mizaj hai yaksar ghazal ka lahja hai sarapa jaise nazakat ka istiara hai qadam qadam pe charaghon ki sans rukti hai ki ab to shahron mein jina azab lagta hai jhulasti sham badalne lagi hai pairahan tere badan ki tamazat mein sehr kaisa hai shagufta harf-e-nawa ajnabi se lagte hain udas lafzon se apna qadim rishta hai na mausamon mein mahak hai na rat-jagon mein asar tumhaare shahr ka mausam bhi kitna phika hai chahaar-samt khayalon ki ret bikhri hui hamari pyas ka manzar ye reg-e-sahra hai ab apni tishna-labi par na jaiyega 'asar' samundaron ka muhafiz bhi aaj pyasa hai