kal pardes mein yaad aaegi dhyan mein rakh

kal pardes mein yaad aaegi dhyan mein rakh
apne shahr ki mitti bhi saman mein rakh

sare jism ko le kar ghum zamane mein
bas ek dil ki dhadkan pakistan mein rakh

jaane kis raste se kirnen aa jaen
dil dahliz pe aankhen raushan-dan mein rakh

jhil mein ek mahtab zaruri hota hai
koi tamanna is chashm-e-hairan mein rakh

hum se shart lagane ki ek surat hai
apne sare khwab yahan maidan mein rakh

jab bhi chahun tera chehra soch sakun
bas itni si baat mere imkan mein rakh

titli rasta bhul ke aa bhi sakti hai
kaghaz ke ye phul abhi gul-dan mein rakh

apne dil se ruswai ka khauf nikal
'azhar' ab taswir meri dalan mein rakh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close