ghazlon ki kaenat ka badla hua hai dhang allah jaane kis ghadi bedar ho malang main bhi mera raqib bhi donon hain zakhm zakhm donon lahuluhan hain ye hai ana ka rang sar katta na aap ka karta main kya bhala is bar lad raha tha main apni baqa ki jang muflis ne gar amir ko chanta jada to kya aatish-fishan bhi palta hai ghurbat ke sang sang kab tak bhala yun jhut ki rassi batege aap kab tak bhala yun pesh karenge bhi uzr-e-lang is waste wo aankhon mein halqa-ba-gosh hain dil ke qarib jati hai aankhon se ek surang sajde mein walida ke ye 'hassas' tha asar dast-e-dua ne jit li dast-e-qaza se jang