kab sar-e-dosh-e-hawa khak faqat meri hai ab to ye manzil-e-ghamnak faqat meri hai aasmanon se udhar kaun sambhaale koi naqsh ye zamin kahti hai poshak faqat meri hai baithta jata hai aaina-e-hasti pe ghubar is kharabe mein yahi khak faqat meri hai dubte aur ubharte hain sitare shab bhar aur ye surat tah-e-aflak faqat meri hai bakht-e-kuza ka fasana koi aaghaz karo ab jo mitti hai sar-e-chaak faqat meri hai