ghonsle rakh ho gae jal ke mit gae sab nishan jangal ke aag barsa ke ud gaya baadal par nikal aae mue baadal ke chithde odh kar jo sota hun khwab aate hain mujh ko makhmal ke sanp un se lipat gae aksar hum ne boe the ped sandal ke jis mein insaniyat nahin rahti hum darinde hain aise jangal ke jo hawa par sawar ho sahab kab wo chalta hai sath paidal ke aao bachchon ka ehtiram karen ye to waris hain sahibo kal ke apna haq badh ke chhin lo yaro yun dikhao na hath mal mal ke kuchh batata nahin tera 'hasrat' jaane ab dil mein kya hai pagal ke