na hoti bhid rindon ki to maikhane kidhar jate ye mai-noshi kahan hoti ye paimane kidhar jate agar insan ban jate kabhi shaikh-o-barahman bhi to ye kaba kahan hota ye but-khane kidhar jate charagh-e-khana se wo ban gae hain shama mahfil ki agar aisa na hota phir ye parwane kidhar jate hamari baada-noshi par hua hairan kyon zahid na hote pine wale hi to maikhane kidhar jate chaman-zar-e-jahan mein gul hi gul hote agar har su to ye kante kahan rahte ye virane kidhar jate agar sine mein dil hota na pahlu mein jigar hota kahan palti mohabbat us ke afsane kidhar jate teri baaton ka ai zahid agar kuchh bhi asar hota namazi saf-ba-saf hote ye mastane kidhar jate agar wo apne bandon par dar-e-rahmat na wa karta to ye bande khuda ke phir khuda jaane kidhar jate siyah-bakhti mein apne bhi parae ho gae 'azam' agar hota na ye andher begane kidhar jate