ghubar-e-dasht-e-talab mein hain raftagan kya kya chamak rahe hain andhere mein ustukhwan kya kya dikha ke hum ko hamara hi qash qash badan dilase dete hain dekho to qatilan kya kya ghuti dilon ki mohabbat to shahr badhne laga mite jo ghar to huwaida hue makan kya kya palat ke dekha to apne nishan-e-pa bhi na the hamare sath safar mein the ham-rahan kya kya halak-e-nala-e-shabnam zara nazar to utha numud karte hain aalam mein gul-rukhan kya kya kahin hai chand sawali kahin gada khurshid tumhaare dar par khade hain ye sailan kya kya bichhad ke tujh se na ji pae mukhtasar ye hai is ek baat se nikli hai dastan kya kya hai pur-sukun samundar magar suno to sahi lab-e-khamosh se kahte hain baadban kya kya kisi ka rakht-e-masafat tamam dhup hi dhup kisi ke sar pe kashida hain saeban kya kya nikal hi jaegi ek din madar se ye zamin agarche pahre pe baithe hain aasman kya kya fana ki chaal ke aage kisi ki kuchh na chali bisat-e-dahr se utthe hisab-dan kya kya kise khabar hai ki 'amjad' bahaar aane tak khizan ne chat liye honge gulistan kya kya