faza-e-sehn-e-gulstan hai sogwar abhi khizan ki qaid mein hai yusuf-e-bahaar abhi abhi chaman pe chaman ka guman nahin hota qaba-e-ghuncha ko hona hai tar tar abhi abhi hai khanda-e-gul bhi agar to zer-e-labi ruka ruka sa hai kuchh naghma-e-hazar abhi chaman to khair chaman hai nawa-garon ko nahin khud apni shakh-e-nasheman pe ikhtiyar abhi abhi umid ki sarson kahin na phuli basant ka hai zamane ko intizar abhi tahi-subui kisi ki ye kah rahi hai 'sharif' nizam-e-mai-kada badlega ek bar abhi