ghubar-e-ehsas-o-pesh-o-pas ki agar ye barik tah hataen to ek pal mein na jaane kitne zamanon ke aks thartharaen khizan agar apna khun na bakhshe to fasl-e-gul kaise surkh-ru ho sukut apna jigar na chire to kaise jhankar den sadaen bikhar chale hain bikhar chuke hain gul-e-ibarat ke barg-reze kitab-e-jaan ki shahadaton ka waraq waraq le gain hawaen hua ki be-rang takhtiyon par sada ki tahrir kya ubhaaren sukut ke be-nishan khandar mein charagh-e-awaz kya jalaen ye shauq ki be-nasib kaliyan ye dard ke be-khizan shagufe tumhaare qadmon mein rakh na pae to kis ki chaukhat pe ja giraen hawa ki talwar chal rahi ho to shakh-e-ummid kya sambhaalen badan ki diwar gir rahi ho to dil ki diwar kya bachaen tamasha-gah-e-tarab-nishan mein sabhi ko lazim hai muskurana jo gham-faroshi na karna chahen wahi yahan bakht aazmaen muhib raaton mein dagmagate dukhi badan ke musafiron ko akele-pan mein dara rahi hai samay ke jangal ki saen saen tamam alfaz mar chuke hain tamam ahbab ja chuke hain gai ruton ke sitam ka qissa sunaen kaise kise sunaen