fareb-e-nau ke bhanwar mein utarta hai mujhe ye kaun pichhle pahar phir pukarta hai mujhe shikasta-haal hun ranj-o-alam se chur hun main nigah-e-lutf se ab kya sanwarta hai mujhe nazar ye apni chadhata hun jis qadar us ko usi qadar wo nazar se utarta hai mujhe main kab ka dub chuka hun use khabar hi nahin jo sahilon se abhi tak pukarta hai mujhe usi ki yaad hai meri hayat ka hasil jo be-niyaz taghaful se marta hai mujhe main sulh-o-amn ka shaidai hun mere rahbar fasad-o-fitna pe tu kyun ubhaarta hai mujhe mila hai muddaton ke baad kuchh gharaz hogi kis inkisar se dekho nihaarta hai mujhe use main khas karam mein shumar karta hun jo tu marahil-e-gham se guzarta hai mujhe wo chahta hai guhar-yab ho ke ubhrun main samundaron ki jo tah tak utarta hai mujhe punam ki raat ka ye faiz nur-afshan 'chand' kisi hasin khata par ubhaarta hai mujhe