ghubar-e-fikr ko tahrir karta rahta hun main apna dard hama-gir karta rahta hun rida-e-lafz chadhata hun turbat-e-dil par ghazal ko khak-e-dar-e-'mir' karta rahta hun nabard-azma ho kar hayat se apni hamesha fath ki tadbir karta rahta hun na jaane kaun sa khaka kalam-e-fan thahre har ek khayal ko taswir karta rahta hun badalta rahta hun girte hue dar-o-diwar makan-e-khasta mein tamir karta rahta hun lahu ragon ka masafat nichod leti hai main phir bhi khud ko safar-gir karta rahta hun udas rahti hain mujh mein sadaqaten meri main lab-kushai mein takhir karta rahta hun sadaen deti hain 'salim' bulandiyan lekin zamin ko panw ki zanjir karta rahta hun