hazaron ranj mile sainkadon malal mile hum apne aap se jab bhi mile nidhaal mile har ek shakhs se milna kahan munasib tha mile unhin se jahan dil mile khayal mile wafa ki rah mein kis par na tohmaten aain koi to aisi zamane mein ek misal mile nahin hai tere jahan mein koi bhi shai aisi jise uruj mile aur na phir zawal mile main apne aap se bahar nikal nahin paya jo tu mila to mujhe mere haal-chaal mile jawab dhundne nikla jo kal mera mazi labon pe haal ke is ko nae sawal mile meri talash jahan ja ke khatm ho 'salim' kahin to aisa koi sahab-e-kamal mile