ghubar-e-rah-e-tilism-e-zamana ho gae hain hum aaise log bhi aakhir fasana ho gae hain rahe hain raunaq-e-sad-astan wo log ki aaj ye chand tinke jinhen aashiyana ho gae hain jo misl-e-abr-e-bahaaran hain dusron ke liye wo log apne liye taziyana ho gae hain jahan pe aae the ek roz tumtaraq ke sath ba-hasrat aaj wahan se rawana ho gae hain to kya hui wo tamanna ki daulat-e-bedar ki sare shauq hi rasm-e-shabana ho gae hain wo log jin ka talabgar ek zamana tha kisi ki sada-dili ka nishana ho gae hain kisi ki chashm-e-taghayyur ko jin se nisbat hai main khush hua ki wo gham jawedana ho gae hain ab is qadar nahin khali hamara daman bhi gunah hum se bhi kuchh fakhirana ho gae hain wo aur shai hai ki jis ne ghula diya mujh ko ki ye awariz-e-jaan to bahana ho gae hain