ek naqsh bigadne se ek had ke guzarne se kya kya nahin mar jata ek khwab ke marne se ab arsa-e-hasti mein sad-rang manazir hain is aaina-e-dil mein ek aks utarne se ek umr ki kawish se hum ne to yahi jaana sab kaam sanwarte hain is dal ke sanwarne se raazi hain ba-sad raghbat ai jaan-e-tamanna hum ye baat jo ban jae sau bar bhi marne se wo mauj hi aisi thi jangal jo uda le jae kis tarah bachate phir hum khud ko bikharne se