ghubar-e-rah ke manind rahguzar mein hain hamara kya hai bhala hum bhi kis shumar mein hain agar wo ghair ke hathon mein khelte hain to kya hum apne aap bhi kab apne ikhtiyar mein hain hamara aalam-e-hasrat bhi hai ajib ki hum guzar gae hain jo din un ke intizar mein hain zamana apni hadon se nikal ke phail gaya aur ek hum ki abhi apne hi hisar mein hain ye apna shahr andheron ka shahr hai shayad bade azab yahan raushni se pyar mein hain wo jaan-e-bazm gaya raunaqen tamam huin ye log kis liye baithe hain kis khumar mein hain ajab fazaen hain 'nikhat' khula na kuchh hum par ye apna ghar hai ki maidan-e-kar-zar mein hain