har sitam lutf hai dil khugar-e-azar kahan sach kaha tum ne mujhe gham se sarokar kahan dasht-o-sahra ke kuchh aadab hua karte hain kyun bhatakte ho yahan saya-e-diwar kahan baada-e-shauq se labrez hai saghar mera kaise azkar mujhe fursat-e-afkar kahan kyun tere daur mein mahrum-e-saza hun ki mujhe jurm par naz sahi jurm se inkar kahan rah-raw-e-shauq hai begana-e-manzil warna kucha-e-dar kahan kucha-e-dildar kahan sochte kya ho jalate raho zakhmon ke charagh dekhte kya ho abhi subh ke aasar kahan tum ko chaha tha magar tum bhi wafa-dost nahin dil pe takiya tha magar dil bhi wafadar kahan yun to har gam pe gham-khwar mile hain 'taban' jo mere gham ko samajh pae wo gham-khwar kahan