ghubar-e-tang-zehni surat-e-khanjar nikalta hai hamari bastiyon se roz ek lashkar nikalta hai khuda jaane kahan us ki rifaqat ho gai zakhmi ki shab mein ek parinda chikhta aksar nikalta hai mata-e-chashm-e-hairan ke siwa ab kuchh nahin baqi dil-e-atish-girafta ka yahi jauhar nikalta hai lahu pi kar zamin jab bhi nai karwat badalti hai kisi ka sar nikalta hai kisi ka ghar nikalta hai hamari fath ke andaz duniya se nirale hain ki parcham ki jagah neze pe apna sar nikalta hai hamare shahr mein kam-qamaton ki bhid aisi hai usi ka qatl ho jata hai jis ka sar nikalta hai nazar walon se mat puchho had-e-imkan kahan tak hai kahin suraj nikalta hai kahin manzar nikalta hai agar jine ki khwahish hai jabin sang-ashna rakhna ki har mukhlis ki mutthi mein yahan khanjar nikalta hai