aae hain dene tasalli wo sambhal jaane ke baad zindagi ki dhup ka mausam badal jaane ke baad hai mera bhi ek masiha dosto tum dekhna aaega lekin wo mera dam nikal jaane ke baad umr bhar ab qabr par meri dua-khwani karen chehra-e-ikhlas par wo khak mal jaane ke baad un ke aate bazm mein kyun hosh sab ke ud gae dur hota hai andhera shama jal jaane ke baad tegh ke dam par guman tha jin ko apni fath ka mahw-e-hairat hain qalam ka zor chal jaane ke baad jo nadi itra rahi hai apne dhaare par abhi legi apna jaeza sagar mein dhal jaane ke baad is jahan mein be-gharaz 'maqsud' koi bhi nahin sab bhula denge tujhe matlab nikal jaane ke baad