ghubar-o-gard ne samjha hai rahnuma mujhko

ghubar-o-gard ne samjha hai rahnuma mujh ko
talash karta phira hai ye qafila mujh ko

tawil rah-e-safar par hain phut phut pada
na kyun samajhte mere pair aabla mujh ko

shikast-e-dil ki sada hun bikhar bhi jaane de
khutut-o-rang ki zanjir mat pinha mujh ko

zamin par hai samundar falak pe abr-e-ghubar
utarti hai kahan dekhiye hawa mujh ko

sukut tark-e-talluq ka ek garan lamha
bana gaya hai sadaon ka silsila mujh ko

wo dur dur se ab kyun mujhe jalata hai
qarib aa ke bahut jo bujha gaya mujh ko

racha ke ek tilism-e-sawabit-o-sayyar
kashish mein apni bulane laga khala mujh ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close