har naqsh hawa ho ke bikhar jaega aakhir 'khalid' tera ehsas bhi mar jaega aakhir mit jaega khwahish ka nishan maut ke hathon ye sanp bhi sine se utar jaega aakhir din jis ke liye raat bade karb mein kati sayon ke taaqub mein guzar jaega aakhir main khauf hun baitha hun kamin-gah-e-fana mein tu bach ke meri zad se kidhar jaega aakhir jo sae ke manind rawan hai mere hamrah wo shakhs bhi tanha mujhe kar jaega aakhir