ghurbat ke ranj faqa-kashi ke malal khinch

ghurbat ke ranj faqa-kashi ke malal khinch
ai 'dagh' par zamane se dast-e-sawal khinch

nazuk bahut hai rishta-e-ulfat na tut jae
itna na apne aap ko ai mah-jamal khinch

ho jae tu na tair-e-dil ki tarah asir
sayyaad apni samt ko aahista jal khinch

khinchi thi jab musawwir-e-qudrat ne dil ki shakl
kahta ye kaun tu na ise be-khayal khinch

wo thande thande chain se ghar ko chale gae
le aur aah-e-sard dil-e-pur-malal khinch

naseh qimar-gah-e-mohabbat mein ji na haar
dil ko laga ke nafa utha khub mal khinch

ai 'dagh' jazb-e-ishq ki dekhenge ab kashish
ki us kashida-ru ne to hum se kamal khinch


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close