ghurub hote hue surajon ke pas rahe

ghurub hote hue surajon ke pas rahe
udas sham ki manind hum udas rahe

khandar sa ek makan takta hai raston ko
na jaane aaj kahan is ke gham shanas rahe

bahaar aai to saj-dhaj ke ho gae tayyar
darakht sirf khizaon mein be-libas rahe

ye kah ke ho gae thode se bewafa hum bhi
hamesha kaun mohabbat mein dewdas rahe

mere khayal mein tauhin hai aqidat ki
samundaron mein rahun aur labon pe pyas rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close