ghut ke mar jaane se pahle apni diwar-e-nafas mein dar nikalo dard ke viran khandar se manzar-e-be-nam ko bahar nikalo ab ye aalam hai ki har-su mawara-e-muntaha tak hain udanen aashiyan to ek qafas hai bahar aa bhi jao baal-o-par nikalo khud tumhaare apne zad par aa rahe hain itni saffaki bhi chhodo kuchh ziyaada ho gaya hai tegh-e-irshadat se jauhar nikalo dekh lena mat kha jaega shah pa kar ye tedha chalne wala chaal uljhi hai koi paidal jamae rakkho koi ghar nikalo aankhen kholo ab to mere zakhm-e-dil bhi mundamil hone lage hain man jao phir koi talwar uthao phir koi khanjar nikalo tah-nashin maujon ke pahre sakht kar deta hai qasr-e-ab par wo khun pani kar ke apna pattharon ki ot se gauhar nikalo ab khuda jaane kahan le ja ke bikhrae hawa-e-waqt mujh ko aao hath apna badha kar tum bhi meri khak chutki-bhar nikalo kis liye 'ramz' itni unchi tum ne kar rakkhi hain diwaren hunar ki dekho apne sathiyon ko rauzan-e-khud-agahi se sar nikalo