ghut ke rah jaunga be-ehsas gham-khwaron ke pech aa gaya hun apne hi kamre ki diwaron ke bich main mera dil raat pila chand teri yaad ka mar rahi hai ek kahani apne kirdaron ke bich murtaish hain chand sansen to sukut-e-shahr mein koi to zinda hai is malbe ke ambaron ke bich ghut ke mar jaen nadamat se na apne rahnuma phans gai hain gardanen tahsin ke haaron ke bich