zabte aur hi misdaq pe rakkhe hue hain aaj-kal sidq-o-safa taq pe rakkhe hue hain wo jo khud marka-e-ishq mein utre bhi nahin shikwa paspai ka ushshaq pe rakkhe hue hain bandh rakkha hai mohabbat ne azal se hum ko so tawajjoh isi misaq pe rakkhe hue hain dakhl aankhon ka ulajhne mein bahut hai lekin tohmaten sab dil-e-mushtaq pe rakkhe hue hain jaane kab silsila-e-khair-o-khabar ka ho zuhur dhyan hum anfus o aafaq pe rakkhe hue hain dekhiye kaun sa mafhum liya jaega baat kar ke nazar itlaq pe rakkhe hue hain tabish-e-shauq se alfaz hain raushan 'gulzar' ya sitare kaf-e-auraq pe rakkhe hue hain