gila fuzul tha ahd-e-wafa ke hote hue

gila fuzul tha ahd-e-wafa ke hote hue
so chup raha sitam-e-na-rawa ke hote hue

ye qurbaton mein ajab fasle pade ki mujhe
hai aashna ki talab aashna ke hote hue

wo hila-gar hain jo majburiyan shumar karen
charagh hum ne jalae hawa ke hote hue

na chahne pe bhi tujh ko khuda se mang liya
ye haal hai dil-e-be-muddaa ke hote hue

na kar kisi pe bharosa ki kashtiyan duben
khuda ke hote hue nakhuda ke hote hue

magar ye ahl-e-riya kis qadar barahna hain
galim o dalq o aba o qaba ke hote hue

kise khabar hai ki kasa-ba-dast phirte hain
bahut se log saron par huma ke hote hue

'faraaz' aise bhi lamhe kabhi kabhi aae
ki dil-girafta rahe dilruba ke hote hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close