kaho farar se bandhe na panw mein aankhen qadam qadam pe bichhi hain dishaon mein aankhen na jaane kaun si hogi talash ki manzil bhatak rahi hain abhi tak khalaon mein aankhen karah utthi thi sargoshi koi chupke se lagi thi thes ki ug aain panw mein aankhen parinde ab nahin manzar guzarne wale hazar khwab sajaen fazaon mein aankhen pahadiyan hui irfan-e-agahi se bahaar jo moatakif huin andhi guphaon mein aankhen bikharte shahron ke manzar inhen dikhao bhi umid se hain bahut ab ke ganw mein aankhen faza-nashin hai tezab raushni 'parwez' nikalte darti hain ab to hawaon mein aankhen