gila hai apne muqaddar ki be-hisi se hamein aur is se badh ke shikayat hai zindagi se hamein kabhi nigar-e-lab-e-shoala-wash ka zikr chala kabhi hisar-e-gham-e-jaan mila kisi se hamein kabhi tha qurb mein ek iztirab ka aalam kabhi qarar mila teri be-rukhi se hamein kabhi malal hua iltifat-e-paiham se kabhi khushi thi bahut tark-e-dosti se hamein kabhi guman ki ye duniya hai ek fareb-e-nazar yaqin bhi hai khuda ke wajud hi se hamein hayat-e-jehd-e-musalsal mein kyon hai sargardan zara pata to chale ilm-o-agahi se hamein agarche dil ko mili thi nawed-e-subh-e-jamal najat mil na saki shab ki tirgi se hamein khade hain dasht-e-bala-khez mein barahna-pa mila hai izn-e-safar jazba-e-khudi se hamein 'saba' ye kaun si manzil hai dasht-e-imkan mein na aashna se gharaz hai na ajnabi se hamein