hawa ki zad pe diye ko sanbhaal rakkha hai

hawa ki zad pe diye ko sanbhaal rakkha hai
fasil-e-shab pe ujala bahaal rakkha hai

azal se hain khat-e-mehwar pe ye zaman-o-makan
zamin pe silsila-e-mah-o-sal rakkha hai

sifat-o-zat ko azdad par kiya taqsim
khushi ke sath gham-e-la-zawal rakkha hai

khushi ata ki dilon ko ba-qadr-e-paimana
farogh-e-gham mein bhi ek e'tidal rakkha hai

rumuz khol diye mujh pe aasmanon ke
magar shuur mein dam-e-khayal rakkha hai

usi ne khak se paida kiya hai insan ko
magar har ek ka juda khadd-o-khal rakkha hai

har ek naqsh ko us ne badi mahaarat se
bahut azim magar be-misal rakkha hai

kamal ye hai ki takhliq-e-kaenat hui
magar kamal mein pinhan sawal rakkha hai

yahi hai shan-e-karimi yahi hai husn-e-kamal
har ek shai ka uruj-o-zawal rakkha hai

'saba' hazar ata ki hain neamaten us ne
magar jahan mein asir-e-malal rakkha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close