gila to un ko bhi hai main jinhen mila hi nahin na jaane kitne fasanon mein hun pata hi nahin koi to puchhe zara haal un andheron se ki jin ke pahlu mein suraj kabhi uga hi nahin use hai aaj bhi ranj-o-malal ye mujh se ki dil pe us ki kisi baat ko liya hi nahin lo khel khel mein banne ko ban gai kashti magar mizaj samundar ka kuchh pata hi nahin wo shor kis ka tha shab bhar ki nind tut gai mere siwa to koi aur ghar mein tha hi nahin hua yun karte hain tufan se log khauf-zada ki jaise us ke thapedon mein kuchh maza hi nahin ye nur-e-subh hai aaghaz sirf ek din ka wo din jo sham guzarte kabhi raha hi nahin abhi se kar na muqarrar tu mera waqt-e-hisab ki zindagi tujhe main ne abhi jiya hi nahin khalish jahan ki numayan hain meri ghazlon mein wo dard bhi hai mera jo mujhe mila hi nahin