jab bhi manzil tere daman mein simaT jati hai

jab bhi manzil tere daman mein simat jati hai
zindagi khud ko bhi gumnam nazar aati hai

jaise suraj ki shuaon mein koi chand chhupe
kaun raushan hai ki mashal meri mit jati hai

ek sahil hun to kya mera koi dard nahin
sirf kashti pe hi kyun sab ki nazar jati hai

zehn kar baitha tha kal shikwa shikayat dil se
meri duniya mein bhi kyun teri suni jati hai

ho na aamad teri jis shab to wo shab shab hi nahin
nind us raat baghawat pe utar aati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close