gir bhi jaen to na mismar samajhiye hum ko raushni si pas-e-diwar samajhiye hum ko hum bhi aakhir hain yake-az-mutawassit tabqa maut ke baad bhi bimar samajhiye hum ko bose biwi ke hansi bachchon ki aankhen man ki qaid-khane mein giraftar samajhiye hum ko waqt masum-o-jari ruhon ke darpai hai 'fuzail' zinda jab tak hain sar-e-dar samajhiye hum ko