hawas ki aag bujhi dil ki tishnagi hai wahi sukun-e-jaan se tahi meri zindagi hai wahi dil-e-fasurda mein ehsas hi nahin baqi jahan-e-kohna mein warna shaguftagi hai wahi jamal aur junun ho chuke zamana-shanas niyaz-o-naz mein kahne ko sadgi hai wahi koi qusur to sabit na ho saka lekin jo bad-guman the unhen mujh se barhami hai wahi wo har qadam ke asar se hai ba-khabar phir bhi rah-e-hayat mein insan ki kaj-rawi hai wahi