gir gai chilman agar tauba zarur

gir gai chilman agar tauba zarur
aap ki qatil nazar tauba zarur

dekh kar aisi tajalli nur ki
kaisa sharmaya qamar tauba zarur

itni wusat mein sama sakta nahin
aap ka dil mera ghar tauba zarur

bas khala hi mein qila takhliq ka
ret ke daldal main ghar tauba zarur

aap ki ulfat mein sahra mein phirun
khwab bhi dekhen agar tauba zarur

tod kar dil ab ye kahna aap ka
jo hua ab gham na kar tauba zarur

be-par-e-parwaz udna aap ka
jhut sina tan kar tauba zarur

chil ka ho ghonsla aur gosht ka
muflison ke pas zar tauba zarur

har taraf faqa-kashi hai bhuk hai
mulk mein ifraat-e-zar tauba zarur


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close