ishq jiwan ka bab hai 'aiman' ishq aankhon ka khwab hai 'aiman' khub halchal machata hai dil mein ishq dariya chanab hai 'aiman' khwahishon ke hasin gulistan mein ishq jalta gulab hai 'aiman' zindagi ke sawal hain jitne ishq wahid jawab hai 'aiman' sunta kab hai kisi ki khud ke siwa ishq bigda nawab hai 'aiman' mujh ko hajat nahin kitabon ki ishq mera nisab hai 'aiman' pyar ki sachchi dastanon mein ishq-e-'aiman' ka bab hai 'aiman'