gira ke bughz-o-hasad dushmani ka darwaza tu apne dil mein laga dosti ka darwaza husain ibn-e-ali mujh ko yaad aate hain main jab bhi dekhta hun tishnagi ka darwaza ye soch kar main musibat pe shukr karta hun milega ek na ek din khushi ka darwaza jidhar bhi dekhun udhar hi hai maghribi tahzib na jaane gum hai kahan sadgi ka darwaza khuda-e-pak unhen sarfaraaz karta hai talash karte hain jo aajizi ka darwaza qadam qadam pe musibat utha ke khulta hai bada hi sakht hai ye zindagi ka darwaza khuda ke fazl se main kohna-mashq shair hun na main ne dekha kabhi khamushi ka darwaza qasam khuda ki mujhe tum dikhai dete ho main jab bhi kholta hun shaeri ka darwaza andhere hote hain us ki hi zindagani mein jo dhund sakta nahin raushni ka darwaza kisi ke ishq mein barbaad ho gaya 'afzal' magar na tod saka aashiqi ka darwaza