kabhi zamin kabhi aasman se guzri hai

kabhi zamin kabhi aasman se guzri hai
meri hayat bade imtihan se guzri hai

khushi ki dhup mayassar na ho saki mujh ko
ghamon ki aandhi meri dastan se guzri hai

bataun kya main tumhein zindagi ke bare mein
meri har ek shab ashk-e-rawan se guzri hai

kisi ke hijr mein barbaad dastan-e-hayat
ghazal ki shakl mein sare jahan se guzri hai

tumhaare hijr mein aankhen rahi hain nam har pal
meri zaban bhi aah-o-fughan se guzri hai

dhadakne lag gaya tezi se dil kabhi jab bhi
tumhaari yaad dil-e-ashiyan se guzri hai

har ek samt se aati hai pyar ki khushbu
zaban 'mir' ki shayad yahan se guzri hai

har ek phul ko murjha gai ‘ali-afzal'
na jaane kaisi hawa gulistan se guzri hai

nabi ke din ki azmat ke waste 'afzal'
tamam nasl-e-ali imtihan se guzri hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close