girani-zada khak meri badi hai jahan par padi thi wahin par adi hai agar hun main zinda to mitti se meri jo mar jaun to lash isi mein gadi hai ise is qadar kyon sambhaale rakha hai ye mitti ki handi to khali padi hai bahut der se aaina hai bulata khudi se taqabul ki aai ghadi hai mujhe dar nahin rahon ki pech-o-kham ka har ek mod par meri qismat khadi hai tu khayyat ki yun malamat na karna qaba ki siyahi sitaron jadi hai kabhi tham le aur kabhi tu badha de 'nawa' yun hi hathon ki judti kadi hai