fariza hai so hum nibhaya karenge charaghon ko majlis mein laya karenge andheron ujalon ki hai ye ladai bujhaoge tum hum jalaya karenge chhupaoge chehra kahan tak tum apna hum ek aaina ban ke aaya karenge sabhi dar agar band karke bhi baitho ayan ho ke phir bhi dikhaya karenge kabhi ghar hamein bhi bula kar to dekho tumhein hum tumhin se milaya karenge adu hai tumhaara tumhaare hi andar khudi se tumhein hum bachaya karenge ana ka agar bojh kam kar sako to ye wada hai sar pe bithaya karenge 'nawa' jaante hain ki kya hai sadaqat jahan par dikhi sar jhukaya karenge