giri gir kar uthi palti to jo kuchh tha utha lai nazar kya kimiya thi rang chehron se uda lai khuda ke waste saffakiyan ye kis se sikhi hain nazar se pyar manga tha wo ek khanjar utha lai na hasrat hi nikalti hai na dil ko aag lagti hai meri hasti mere daman mein kya kanta laga lai wo sab badmastiyan thin zar ki ab zar hai na pite hain hamari muflisi khud rah par hum ko laga lai mitane ko hamare ye zamin-o-asman donon hamesha mil ke chalte hain ba-in pasti-o-baalai jo kuchh dekha na dekha jo suni wo an-suni 'shair' na aae hum yahan ye zindagi muft-e-khuda lai