ye tera bankpan ye ranai rashk-e-mahtab teri zebai husn tera ajab karishma hai ek aalam bana tamashai yaad aaya mujhe badan tera dur qaus-e-quzah jo lahrai jab se sham-e-wafa jalai hai anjuman ban gai hai tanhai yun guzarte hain dekh kar mujh ko jaise mujh se nahin shanasai dip yaadon ke jal hi jate hain chhed deti hai jab bhi purwai nashtar-e-gham na jis ko ras aaya zist us ko kabhi na ras aai ek ru-e-hasin nazar aaya ab charaghon mein raushni aai ishq ki khud-supurdagi dekhi khud tamasha bana tamashai