girne wali hai bahut jald ye sarkar huzur

girne wali hai bahut jald ye sarkar huzur
han nazar aate hain aise hi kuchh aasar huzur

karwan yunhi bhatakta rahe har bar huzur
nek niyyat na hon gar qafila-e-salar huzur

wo jo az-khud hi bane baithe hain sardar huzur
waqt ek din unhen laega sar-e-dar huzur

khud ko dete hain wo dhoka yunhi be-kar huzur
jo khataon ka nahin karte hain iqrar huzur

samne aa kai rahe sach sar-e-bazar huzur
koi kitna hi kare jhut ka parchaar huzur


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close