zindagi ke nam par dhoka hua achchha hua jo hua jo bhi hua jaisa hua achchha hua kha raha tha dhire dhire ye sukut-e-jaan mujhe mahshar-e-jaan ja-ba-ja barpa hua achchha hua ho ke baghi aankh se aansu gira rukhsar par sohbat-e-hijran wahi dariya hua achchha hua le rahi thi siskiyan qirtas par tahrir-e-jaan zaiqa tahrir ka kadwa hua achchha hua ungliyan uthne lagin thin hasrat-e-be-nam par hasraton ka aks ab dhundla hua achchha hua thi mazar-e-ishq par minnat ki chadar ki tarah zindagi tera yahan sauda hua achchha hua jis mohabbat ke liye duniya ko thokar mar di aaj us ke nam par ruswa hua achchha hua kab talak rahta salamat mukhlisi ka pairahan gardishon ke hath ye mela hua achchha hua hosh mein rahte hue madhosh tha socha nahin rah gaya main ja-ba-ja bikhra hua achchha hua kah gai mauj-e-'nasimi' dekh kar chehra mera ho gaya dar-o-rasan likkha hua achchha hua