girta hi ja raha hai kyon mear din-ba-din hum par hi chal rahi hai kyon talwar din-ba-din teri badal rahi hai jo guftar din-ba-din deta hai be-sabab hamein aazar din-ba-din aankhon se ashk ban ke barasti hai teri yaad yun zakhm ho rahe hain numudar din-ba-din pahli si baat tujh mein kahan ab rahi maujud tewar badal rahe hain tere yar din-ba-din hai aakhiri kalam mera sun to lijiye jina tere bina hua dushwar din-ba-din sach baat hai ki ab haya baqi nahin rahi 'mohsin' badal rahe hain ab atwar din-ba-din