girta raha ek yaad ka malba mere aage

girta raha ek yaad ka malba mere aage
bichhta hi gaya hijr mein rasta mere aage

wo jin ko faulun ke siwa ilm nahin hai
karte hain bahut shor-sharaba mere aage

main wahshat-e-baatin se use karta musakhkhar
rakkha hi nahin qais ne naqsha mere aage

ek umr sukhan karte hue guzri hai lekin
aaya hi nahin sher achhuta mere aage

har gam mayassar rahe bas ijz ki sidhi
kuchh mani nahin rakhta hai rutba mere aage

main sar-ta-qadam odh ke rakhta tujhe 'jami'
ek bar kabhi tu jo mahakta mere aage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close