girte girte sanbhal bhi sakta hai aadmi hai badal bhi sakta hai kuchh bhi qimat nahin sadaqat ki khota sikka to chal bhi sakta hai mujh se baaten karo na hans hans kar dekh kar koi jal bhi sakta hai khalish-e-dil aziz hai mujh ko warna kanta nikal bhi sakta hai rone wale rahe khayal is ka ashk palkon se dhal bhi sakta hai apna daman sanbhaal kar rakhiye koi dhabba machal bhi sakta hai ab mayassar kahan hai wo lamha jis ka gham ho ki tal bhi sakta hai gham se lagti hai chot bhi dil par gham se insan bahal bhi sakta hai aankh ki rahguzar se ho ke 'shamim' khwab sine mein pal bhi sakta hai