jab chahe koi tod de aise to nahin hain mitti ke hain mitti ke khilaune to nahin hain be-mehri-e-ahbab ka shikwa nahin mujh ko ahbab hain rahmat ke farishte to nahin hain mathe pe shikan aur pareshan hain zulfen ye aap kisi fikr mein uljhe to nahin hain in kali ghataon ko main pahchan raha hun baadal jo garajte hain baraste to nahin hain moti ki tarah aab hain chehron se numayan ye log kahin dub ke ubhre to nahin hain tadbir se taqdir ka rishta nahin milta hum hath dhare hath pe baithe to nahin hain kya gham hai jo dil aap ka toda hai kisi ne duniya mein 'shamim' aap akele to nahin hain