girya karta hai kabhi chup kabhi hansta hai wahi

girya karta hai kabhi chup kabhi hansta hai wahi
meri wahshat meri hairat ko samajhta hai wahi

kabhi khushbu kabhi baadal kabhi mauj-e-dariya
mere ashaar mein sau rang badalta hai wahi

koi guzra tha dabe panw jahan se ek din
rasta khwab ki dahliz se milta hai wahi

din ke hangamon mein suraj se rifaqat us ki
raat phir chand sitaron se ulajhta hai wahi

khud-shanasi jise tafwiz hui hai 'aslam'
thokaren khata hai girta hai sanbhalta hai wahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close