wahi hasraten wahi aarzu meri zindagi mein khushi nahin teri chashm-e-naz ko kya kahun mere soz-e-gham mein kami nahin na nasim hai na bahaar hai na gulon mein ab hai shaguftagi hai udasiyon ka ajab saman ki kisi ke lab pe hansi nahin main hun mushkilon mein ghira hua tere dar se dur pada hua teri yaad se hun zarur khush koi aur wajh-e-khushi nahin wo nigah-e-naz se aag jo mere dil mein tum ne lagai thi wo dabi dabi si zarur hai magar aaj tak wo bujhi nahin na wo garmiyan na wo mastiyan na wo soz-o-saz hai saqiya tere mai-kade mein mere liye kisi shai mein jalwagari nahin main wo andalib-e-bahaar hun jise baghban ne mita diya main wo gulistan-e-hayat hun ki shagufta koi kali nahin hai kahan wo 'aslam'-e-khush-nawa jo rahin-e-aish-o-nishat tha tere gham ne us ko mita diya ki khushi se us ko khushi nahin